Friday, February 23, 2007

Wujud


Kabhi Dard Bhi Maza De
Yeh Ghutan Achi Lagay
Mein Khud Ko Zakhmi
Karna Chahta Hoon


Kabhi Girnay Ki Khushi
Jalnay Ki Khuwahish
Mein Is Hawas Se
Larna Chahta Hoon


MUJHE APNA WUJUD CHAHIYE
In Sochon Mein Hoon Gum
Mein Kab Se


Kabhi Itni Garmi
Keh Rooh Jal Jaye
Mein Is Mausam Ko
Sehna Chahta Hoon


Kabhi Khud Ko Tarpa Kar
Khud Hi Ko Rulaoon
Main Is Ronay Mein
Hansa Chahta Hoon


MUJHE APNA WUJUD CHAHIYE
In Sochon Mein Hoon Gum
Mein Kab Se


KAUN HOON MEIN
KAUN HOON MEIN

1 Comments:

At 10:28 p.m., February 23, 2007, Blogger Ambareen said...

Dimaagh kharaab ho gaya hai kiya? Tauba karain Khuda se aur tahajjud baqaaid.gee se parhna shuru kar dain.

 

Post a Comment

<< Home